Thursday 19 July 2018

Poem -1 (Ek Din Aisa Aayega)

EK DIN AISA AAYEGA


Ek din aisa aayega,
Ek din aisa aayega
Jab tum apni dunia me khush,
Aur main apni dunia me khush,
Haan, ek din aisa aayega...


Ek din aisa aayega jab,
Naa tumhe, meri koi parwah hogi
Naa mujhe, meri koi parwah hogi...


Ek din aisa aayega
Jab tum kisi aur ke sath khush hogi,
Aur main, main tumhe
Khush dekh ke khush hounga...


Ek din aisa aayega
Jab wo gana tumhare liye
Sirf, gana hoga,
Aur wo gana mere liye
Sirf, ek hii gana hoga...


Ek din aisa aayega
Jab guljar aur chand ki batain
Sirf bante hogi,
Aur ek din aisa aayeaga
Jab wo batain sun ke
Meri har raat royegi,
Ek din aisa ayega...


Ek din aisa aayega,
Par wo din jab aata hai tab aayega naa,
Abhi toh sirf itna hai ki
Main tumse pyar karta hu,
Aur tum tumse pyar kari ho,
Dono khush hain,
Toh aise hi chalne dete hain,
Baki dekha jayega,
Jab ek din, aisa aayegaa...


Ek din aisa aayega, hhh...




Credit-: RJ Vashishth_Radio Mirchi (98.3)

Iss Kabita me hamne apni taraf se pura praytna kiya hai ki lekhak ki bhawanaon ko aap tak pahuchaya ja sake, issiliye viram chinhon ka uchit pyrayog kiya gya hai... Puri feeling ke sath padhiye, asha karta hu aapko ye kabita bahut hi pasand aayegi, aur haan ek baat aur post ke niche apne bahumulya comment karna na bhulen...
Keep supporting, Keep Loving, Jaha rhe khush rhe, apne aas-pass safai rakhen, janwaron se pyar kare...
Thank You...

No comments:

Post a Comment

Please give us your valuable feedback in comment section.
Tell us new post idea that you what to read next.

See our other Post